Home › Guides › Stamina & Energy
Foods For Energy And Stamina: What To Eat In Pakistan When You Feel Tired All Day
Agar din bhar thakan rehti hai, seerhiyan charhte hue saans phool jati hai, ya kaam ke beech me hi energy khatam ho jati hai, to wajah aksar koi bimari nahi hoti. Teen cheezen hoti hain: khana, neend, aur harkat.
Is page par pehle wo khane hain jo waqai energy dete hain, phir wo aadat jo energy sab se zyada khatam karti hain. Sab cheezen aam Pakistani ghar ki hain.
Sab se pehle: energy aati kahan se hai
Jism ko energy teen cheezon se milti hai: carbohydrates (roti, chawal), protein (anda, daal, gosht), aur fat (ghee, nuts). Lekin sirf calories kaafi nahi. Agar iron kam ho to khoon oxygen theek se nahi pohanchata, aur banda thaka rehta hai chahe kitna hi kha le.
Isi liye neeche wali list me sirf “zyada calories” wali cheezen nahi, balki wo bhi hain jo khoon aur nason ko theek rakhti hain.
Top energy foods (jo har Pakistani ghar me milte hain)
| Khana | Kya deta hai | Kaise lein |
|---|---|---|
| Anday | Protein aur B vitamins | Rozana 2, nashte me |
| Doodh aur dahi | Protein aur calcium | Rozana 1–2 glass |
| Chana | Iron, protein, fibre | Ubla hua, sham ke waqt |
| Khajoor | Foran milne wali energy, iron | 2–3, chai ki jagah |
| Kela | Potassium aur jaldi energy | Workout se pehle ya beech me |
| Badam aur akhrot | Healthy fat, magnesium | Ek mutthi rozana |
| Palak | Iron | Hafte me 2–3 baar |
| Gosht aur kaleji | Sab se behtar iron | Hafte me 2 baar |
| Machli | Omega-3, dil aur nason ke liye | Hafte me 1–2 baar |
| Shakarqandi | Dair tak chalne wali energy | Sardiyon me roz |
Foran energy chahiye to? (instant energy food)
Jab bilkul nidhal lage, jaise roza kholte waqt ya lambi shift ke beech me:
- Khajoor aur paani — sab se tez, aur sab se purana tareeqa
- Kela — 10 minute me asar
- Doodh me shehed — halki lekin fauri energy
- Lassi — garmi me sab se behtar, paani aur energy dono
Jo cheezen foran energy deti hain lekin phir gira deti hain: colddrink, energy drink, aur meethi chai. Bees minute baad pehle se zyada thakan hoti hai. Ye sab se badi ghalat fehmi hai.
Rozana ka simple plan
| Waqt | Khana |
|---|---|
| Nashta | 2 anday, 1–2 roti, 1 glass doodh, 4–5 badam |
| Mid-morning | Kela ya khajoor |
| Dopeher | Roti ya chawal, gosht ya daal, salad, dahi |
| Sham | Chana ya makhana, green tea |
| Raat | Roti, sabzi aur protein, sone se pehle doodh |
Teen cheezen jo energy sab se zyada khatam karti hain
1. Kam neend. Ye sab se bara factor hai, khane se bhi bara. Paanch ghante ki neend ke baad koi khana ya supplement theek kaam nahi karta, kyunki jism apni marammat neend hi me karta hai. Sath se aath ghante chahiye, aur rozana ek hi waqt pe sona behtar hai.
2. Smoking. Cigarette khoon ki nalion ko tang karti hai, jis se poore jism me khoon ka daura kam hota hai. Iska seedha asar stamina par parta hai. Achhi khabar ye ke chhorne ke kuch hafton me hi farq mehsoos hona shuru hota hai.
3. Harkat ka na hona. Ajeeb baat lagti hai, lekin jo log bilkul nahi chalte un ki energy aur kam hoti hai. Hafte me teen se chaar din bees minute ki tez walk hi kaafi hai shuruat ke liye.
Chauthi cheez stress hai, jo neend aur bhook dono kharab karta hai.
Kitne din me farq mehsoos hota hai?
Agar aap neend aur khana dono theek kar lein, to aam tor pe do se teen hafte me farq mehsoos hota hai. Sab se pehle subah uthne me aasani hoti hai, phir din ke beech wali thakan kam hoti hai.
Agar sab kuch theek karne ke baad bhi thakan lagatar rahe, to ye khane ka masla nahi. Sugar, thyroid, blood pressure aur khoon ki kami, in sab me bhi yehi alamat hoti hai. Ek simple blood test se pata chal jata hai, aur inka ilaj mojood hai.
Kya supplement ki zaroorat hai?
Pehle upar wali teen cheezen theek karein: neend, khana, aur rozana thori walk. Zyada tar logon ko isi se farq mil jata hai.
Forceful un mardon ke liye hai jo ye sab kar rahe hon aur rozana ki stamina ke liye thora support chahte hon. Ye dawai nahi hai, aur kisi bimari ka ilaj nahi. Agar koi masla lagatar rahe to doctor se milna hi sahi raasta hai.
Aksar pooche jane wale sawal
Sab se zyada energy kaunse khane me hoti hai?
Rozana ke liye anday, doodh, chana, khajoor aur nuts. Foran energy ke liye khajoor aur kela.
Thakan door karne ke liye kya khayein?
Iron wale khane: palak, chana, gosht, kaleji aur khajoor. Saath limoo ya malta lein, is se iron behtar lagta hai. Chai khane ke foran baad na piyein, wo iron kam karti hai.
Energy drink se faida hota hai?
Bees minute ke liye. Us ke baad pehle se zyada thakan hoti hai, kyunki wo sirf cheeni aur caffeine hai. Paani aur khajoor behtar hain.
Mardon ke liye top energy foods kaunse hain?
Wahi: anday, doodh, gosht, machli, chana aur nuts. Alag se koi mardana khana nahi hota, lekin protein ki zaroorat thori zyada hoti hai.
Rozana kitni neend chahiye?
Sath se aath ghante. Is se kam par khana aur exercise dono ka faida kam ho jata hai.

This information is general health guidance, not a substitute for medical advice. If you have a medical condition or take any medicine, please talk to your doctor first.